tirī anjuman meñ zālim ajab ehtimām dekhā
kahīñ zindagī kī bārish kahīñ qatl-e-ām dekhā
merī arz-e-shauq paḌh leñ ye kahāñ unheñ gavārā
vahīñ chaak kar diyā ḳhat jahāñ merā naam dekhā
baḌī minnatoñ se aa kar vo mujhe manā rahe haiñ
maiñ bachā rahā huuñ dāman mirā intiqām dekhā
ai 'shakīl' rūh-parvar tirī be-ḳhudī ke naġhme
magar aaj tak na ham ne tire lab pe jaam dekhā