huī ham se ye nādānī tirī mahfil meñ aa baiThe
zamīñ kī ḳhaak ho kar āsmān se dil lagā baiThe
huā ḳhūn-e-tamannā us kā shikva kyā kareñ tum se
na kuchh sochā na kuchh samjhā jigar par tiir khā baiThe
ḳhabar kī thī gulistān-e-mohabbat meñ bhī ḳhatre haiñ
jahāñ girtī hai bijlī ham usī Daalī pe jā baiThe
na kyuuñ anjām-e-ulfat dekh kar aañsū nikal aa.eñ
jahāñ ko lūTne vaale ḳhud apnā ghar luTā baiThe