bahār aa.ī kisī kā sāmnā karne kā vaqt aayā
sambhal ai dil ki iz.hār-e-vafā karne kā vaqt aayā
unheñ āmāda-e-mehr-o-vafā karne kā vaqt aayā
baḌī muddat meñ arz-e-mudda.ā karne kā vaqt aayā
ravāñ haiñ apne markaz kī taraf āsūda ummīdeñ
hujūm-e-yās ko dil se judā karne kā vaqt aayā
phir ik gum-karda-rāh-e-zindagī ko mil ga.ī manzil
sujūd-e-shukr-e-be-pāyāñ adā karne kā vaqt aayā
kabhī duurī thī lekin ab ḳhayāl-e-ḳhauf-e-dūrī hai
fuġhāñ kī sā.ateñ guzrīñ duā karne kā vaqt aayā
kahāñ tak ḳhatm rahtā darmiyāñ par dil kā afsāna
bil-āḳhir darmiyāñ se ibtidā karne kā vaqt aayā
har ik jurm-e-mohabbat us nigāh-e-lutf ke sadqe
naved-e-āfiyat le kar ḳhatā karne kā vaqt aayā
nigāh o dil se ab tafsīr-o-sharh-e-āzrū hogī
zabān o lab se tark-e-iltijā karne kā vaqt aayā
vo aate haiñ 'shakīl' ab apne dil se haath dho baiTho
nigāh-e-nāz kī qīmat adā karne kā vaqt aayā