paiham talāsh-e-dost maiñ kartā chalā gayā
kaunain kī hadoñ se guzartā chalā gayā
jitnā mazāq-e-ishq sañvartā chalā gayā
rañg-e-tabī.at aur nikhartā chalā gayā
ik sañg-dil kī dīda-dilerī to dekhnā
shikvoñ kā e'tirāf bhī kartā chalā gayā
be-chārgī to dekhiye majbūr-e-shauq kī
tohmat muqaddarāt pe dhartā chalā gayā
dete rahe fareb-e-musarrat vo pai-ba-pai
maiñ ġham kī manziloñ se guzartā chalā gayā
tasvīr-e-yās-o-ġham thī ba-zāhir nihāñ magar
har naqsh dil hī dil meñ ubhartā chalā gayā
dil mahv-e-iztirāb nazar sākit-o-ḳhamosh
ye kaun sāmne se guzartā chalā gayā