tire baġhair ajab bazm-e-dil kā aalam hai
charāġh saiñkaḌoñ jalte haiñ raushnī kam hai
jo jī rahe haiñ unhī ke liye har ik ġham hai
zahe-nasīb ki phūloñ kī zindagī kam hai
qafas se aa.e chaman meñ to bas yahī dekhā
bahār kahte haiñ jis ko ḳhizāñ kā aalam hai
ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat kī ḳhair ho yārab
kuchh aaj mast nigāhoñ kī be-ruḳhī kam hai
banā.e haiñ isī shabnam ne saiñkaḌoñ dariyā
nahīñ malāl jo dariyā harīf-e-shabnam hai
kahā ye dil ne sunī guftugū jo nāseh kī
mubālaġha hai bahut is meñ vāqi.a kam hai
bahār aa.e chaman meñ ye intizār na dekh
'shakīl' apne junūñ kī bahār kyā kam hai