Shakeel Badayuni

jo dil pe guzarti hai wo samjha nahin sakte

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
jo dil pe guzartī hai vo samjhā nahīñ sakte
ham dekhne vāloñ ko nazar aa nahīñ sakte
be-qaid-o-rusūm aa.ī haiñ gulshan meñ bahāreñ
ab haath garebāñ kī taraf jā nahīñ sakte
rañgīnī-e-mustaqbil-e-raushan hai nazar meñ
ham talḳhi-e-māhaul se ghabrā nahīñ sakte
maġhrūr na ho fazl-e-ḳhizāñ aa ke chaman meñ
aise bhī haiñ kuchh phuul jo murjhā nahīñ sakte
maanā vo mujhe apnī nigāhoñ se girā deñ
lekin mire ehsās ko Thukrā nahīñ sakte
arbāb-e-ḳhirad laakh subuk-gām hoñ lekin
be-faiz-e-junūñ rāh-e-talab pā nahīñ sakte
maanā ki tire lutf-o-karam ḳhvāb haiñ lekin
har shaḳhs ko ye ḳhvāb nazar aa nahīñ sakte
tafsīr-e-do-ālam hai 'shakīl' apnā taġhazzul
maidān-e-ġhazal chhoḌ ke ham jā nahīñ sakte
Top Urdushayar.com