is darja bad-gumāñ haiñ ḳhulūs-e-bashar se ham
apnoñ ko dekhte haiñ parā.ī nazar se ham
ġhunchoñ se pyaar kar ke ye izzat hameñ milī
chūme qadam bahār ne guzre jidhar se ham
vallāh tujh se tark-e-ta.alluq ke ba.ad bhī
aksar guzar ga.e haiñ tirī rah-guzar se ham
sidq-o-safā-e-qalb se mahrūm hai hayāt
karte haiñ bandagī bhī jahannam ke Dar se ham
uqbā meñ bhī milegī yahī zindagī 'shakīl'
mar kar na chhūT pā.eñge is dard-e-sar se ham