ihānat-e-dil-e-sabr-āzmā nahīñ karte
buland ham bhī ye dast-e-duā nahīñ karte
sar ahl-e-ishq ke aksar jhukā nahīñ karte
agar jhuke bhī kahīñ phir uThā nahīñ karte
vo baat un kī nigāheñ batā.e detī haiñ
jise vo apnī zabāñ se adā nahīñ karte
dalīl-e-tābish-e-īmāñ hai kufr kā ehsās
charāġh shaam se pahle jalā nahīñ karte
umiid ahd-e-vafā aur un butoñ se 'shakīl'
jo bhuul kar bhī kisī se vafā nahīñ karte