duniyā kī rivāyāt se begāna nahīñ huuñ
chheḌo na mujhe maiñ koī dīvāna nahīñ huuñ
is kasrat-e-ġham par bhī mujhe hasrat-e-ġham hai
jo bhar ke chhalak jaa.e vo paimāna nahīñ huuñ
rūdād-e-ġham-e-ishq hai taaza mire dam se
unvān-e-har-afasānā huuñ afsāna nahīñ huuñ
ilzām-e-junūñ deñ na mujhe ahl-e-mohabbat
maiñ ḳhud ye samajhtā huuñ ki dīvāna nahīñ huuñ
maiñ qā.el-e-ḳhuddārī-e-ulfat sahī lekin
ādāb-e-mohabbat se to begāna nahīñ huuñ
hai barq-e-sar-e-tūr se dil shola-ba-dāmāñ
sham-e-sar-e-mahfil huuñ maiñ parvāna nahīñ huuñ
hai gardish-e-sāġhar mirī taqdīr kā chakkar
mohtāj-e-tavāf-e-dar-e-mai-ḳhāna nahīñ huuñ
kāñToñ se guzar jaatā huuñ dāman ko bachā kar
phūloñ kī siyāsat se maiñ begāna nahīñ huuñ
lazzat-kash-e-nazzāra 'shakīl' apnī nazar hai
mahrūm-e-jamāl-e-ruḳh-e-jānāna nahīñ huuñ