Shakeel Badayuni

lutf-e-nigah-e-naz ki tohmat uThae kaun

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
lutf-e-nigāh-e-nāz kī tohmat uThā.e kaun
kuchh der kī bahār ko ḳhātir meñ laa.e kaun
dil chiiz kyā hai dil se mohabbat jatā.e kaun
apnā jo ḳhud na ho use apnā banā.e kaun
tere huzūr tujh se ḳhafā ho ke jaa.e kaun
zaḳhm-e-dil-e-tabāh pe nashtar lagā.e kaun
maanā harīm-e-nāz ke pardoñ meñ hai koī
lekin harīm-e-nāz ke parde uThā.e kaun
haañ haañ mujhe tumhāre taġhāful kā ġham nahīñ
is daur-e-ḳhudravī meñ kise āzmā.e kaun
paḌ jaa.e laakh vaqt magar ye nahīñ qubūl
maiñ dekhtā rahūñ ki mire kaam aa.e kaun
kaisī bahār kis ke sitāre kahāñ ke phuul
jab tum nahīñ to dīda-o-dil meñ kaun samā.e kaun
zauq-e-amal na zauq-e-junūñ har taraf sukūñ
jannat agar yahī hai to jannat meñ jaa.e kaun
mahfil meñ koī soḳhta-jāñ hī nahīñ 'shakīl'
soz-o-gudāz-e-sham.a pe aañsū bahā.e kaun
Top Urdushayar.com