Shakeel Badayuni

wo yun kho ke mujhe paya karenge

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
vo yuuñ kho ke mujhe paayā kareñge
mirā afsāna dohrāyā kareñge
sitam apne jo yaad aayā kareñge
to dil hī dil meñ pachhtāyā kareñge
ġhurūr-e-husn ko bātil samajh kar
sarāpā ishq ban jaayā kareñge
na hogī tāb-e-zabt-e-ġham jab un ko
yaqīnan ashk bhar laayā kareñge
qayāmat hoñgī nāzuk dil kī aaheñ
har ik zarre ko taḌpāyā kareñge
falak mātam karegā be-kasī par
mah-o-anjum taras khāyā kareñge
mujhe har gaam par Thukrāne vaale
mujhī par naaz farmāyā kareñge
na hogī jab sukūñ kī koī sūrat
kuchh apne dil ko samjhāyā kareñge
har ik tadbīr jab nākām hogī
to mujh ko rū-ba-rū paayā kareñge
nigāhoñ se milā kar vo nigāheñ
yakāyak ruḳh badal jaayā kareñge
vahī nāz-o-adā kī shakl hogī
isī sūrat se sharmāyā kareñge
maiñ kahtā hī rahūñgā qissa-e-ġham
vo sunte sunte so jaayā kareñge
magar jab hogā aalam ālam-e-ḳhvāb
na pā kar mujh ko ghabrāyā kareñge
'shakīl' apne liye lamhāt-e-fursat
payām-e-nau-ba-nau laayā kareñge
Top Urdushayar.com