Shakeel Badayuni

jam gardish mein hai dar-band hain mai-KHanon ke

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
jaam gardish meñ hai dar-band haiñ mai-ḳhānoñ ke
kuchh farishte haiñ yahāñ ruup meñ insānoñ ke
sham.a kī aag meñ dil jalte haiñ parvānoñ ke
hausle dekhiye in soḳhta-sāmānoñ ke
sirf tash.hīr hai shāyad mirā afsāna-e-ġham
aaj ahbāb meñ andāz haiñ begānoñ ke
lazzat-e-ḳhvāb se begāna haiñ māh-o-anjum
sunñe vaale haiñ ye shāyad mire afsānoñ ke
fasl-e-gul rañg-e-chaman daur-e-ḳhizāñ husn-e-bahār
muḳhtalif naam haiñ saaqī tire paimānoñ ke
ai mire nāseh-e-ḳhush-fahm zarā ġhaur se sun
dost nādān huā karte haiñ nā-dānoñ ke
chun liyā hai jinheñ gardūñ ne samajh kar taare
haiñ 'shakīl' aah ye TukḌe mire armānoñ ke
Top Urdushayar.com