iltifāt-e-ām hai vaj.h-e-pareshānī mujhe
kis qadar mahñgī paḌī hai un kī arzānī mujhe
bahr-e-hastī hai mirī nazroñ meñ ik dasht-e-sarāb
ret kā hotā hai dhoka dekh kar paanī mujhe
tere jalvoñ kā to har ik zarra hai ā.īna-dār
māne-e-nazzāra hai ḳhud merī hairānī mujhe
sa.ī-e-be-hāsil thī dil kī koshish-e-iḳhfā-e-rāz
kar ga.ī rusvā nigāhoñ kī pareshānī mujhe
yā adū-e-bul-havas kī nāz-bardārī karo
yā banā lo taḳhta-e-mashq-e-sitam-rānī mujhe
khul nahīñ saktī faqat ik aap ke dil kī girah
varna kyā kyā gutthiyāñ aatī haiñ suljhānī mujhe
kis qadar nā-paid haiñ ahl-e-kamāl ab ai 'vafā'
koī apnā bhī nazar aatā nahīñ saanī mujhe