be-ḳhudī hai na hoshiyārī hai
bāda-ḳhvārī sī bāda-ḳhvārī hai
husn masrūf-e-parda-dārī hai
jaane ab kis nazar kī baarī hai
tū ne dekhī to hogī ai nāseh
vo mohabbat jo iḳhtiyārī hai
kam nahīñ shorish-e-nafas lekin
zindagī par jumūd taarī hai
ġham-e-ulfat to dil se haar chukā
ab ġham-e-zindagī kī baarī hai
jis chaman meñ kabhī na aa.e bahār
us chaman kī ḳhizāñ bhī pyārī hai
haa.e vo bāda-kash ki jis ne 'shakīl'
zindagī be piye guzārī hai