zamīñ par fasl-e-gul aa.ī falak par māhtāb aayā
sabhī aa.e magar koī na shāyān-e-shabāb aayā
mirā ḳhat paḌh ke bole nāma-bar se jā ḳhudā-hāfiz
javāb aayā mirī qismat se lekin lā-javāb aayā
ujāle garmi-e-raftār kā hī saath dete haiñ
baserā thā jahāñ apnā vahīñ tak āftāb aayā
'shakīl' apne mazāq-e-dīd kī takmīl kyā hogī
idhar nazroñ ne himmat kī udhar ruḳh par naqāb aayā