lā rahā hai mai koī shīshe meñ bhar ke sāmne
kis qadar pur-kaif hai manzar nazar ke sāmne
maiñ to is aalam ko kyā se kyā banā detā magar
kis kī chaltī hai hayāt-e-muḳhtasar ke sāmne
phir na denā ta.ana-e-nākāmī-e-zauq-e-nazar
hausla hai kuchh to aa jaao nazar ke sāmne
aah ye rūdād-e-hañgām-e-tarab ai ġham-gusār
zikr-e-gulshan jaise ik be-bāl-o-par ke sāmne
ho chukā jab ḳhātma saarī umīdoñ kā to phir
jā rahe ho kyuuñ 'shakīl' us fitna-gar ke sāmne