Shakeel Badayuni

hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
hañgāma-e-ġham se tañg aa kar iz.hār-e-masarrat kar baiThe
mash.hūr thī apnī zinda-dilī dānista sharārat kar baiThe
koshish to bahut kī ham ne magar paayā na ġham-e-hastī se mafar
vīrānī-e-dil jab had se baḌhī ghabrā ke mohabbat kar baiThe
hastī ke talātum meñ pinhāñ the aish o tarab ke dhāre bhī
afsos hamī se bhuul huī ashkoñ pe qanā.at kar baiThe
zindān-e-jahāñ se ye nafrat ai hazrat-e-vā.iz kyā kahnā
allāh ke aage bas na chalā bandoñ se baġhāvat kar baiThe
gulchīñ ne to koshish kar Daalī suunī ho chaman kī har Daalī
kāñToñ ne mubārak kaam kiyā phūloñ kī hifāzat kar baiThe
har chiiz nahīñ hai markaz par ik zarra idhar ik zarra udhar
nafrat se na dekho dushman ko shāyad vo mohabbat kar baiThe
allāh to sab kī suntā hai jur.at hai 'shakīl' apnī apnī
'hālī' ne zabāñ se uf bhī na kī 'iqbāl' shikāyat kar baiThe
Top Urdushayar.com