Mela Ram Wafa

kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
kaun kahtā hai ki mar jaane se kuchh hāsil nahīñ
zindagī us kī hai mar jaanā jise mushkil nahīñ
haañ ye saarā khel parvānoñ kī jāñ-bāzī kā hai
sham-e-raushan par madār-e-girya-e-mahfil nahīñ
aam hī karnā paḌegā un ko faiz-e-iltifāt
ġhair hargiz iltifāt-e-ḳhās ke qābil nahīñ
muntaḳhab maiñ hī huā mashq-e-taġhāful ke liye
vo taġhāful-kesh merī yaad se ġhāfil nahīñ
halqa-e-girdāb hai gahvāra-e-ishrat mujhe
zauq-e-āsā.ish mirā minnat-kash-e-sāhil nahīñ
dekhiye kyā ho hamāre shauq-e-manzil kā ma.aal
paañv meñ tāqat ba-qadr-e-dūrī-e-manzil nahīñ
laakh dil qurbān us chashm-e-nadāmat-kesh par
ya.anī mujh ko ārzū-e-ḳhūñ-bahā-e-dil nahīñ
marja-e-barq-e-balā hai ai 'vafā' duniyā-e-ishq
hāsil-e-hasrat yahāñ juz hasrat-e-hāsil nahīñ
Top Urdushayar.com