Shakeel Badayuni

gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ġham-e-hayāt bhī āġhosh-e-husn-e-yār meñ hai
ye vo ḳhizāñ hai jo Duubī huī bahār meñ hai
asar sharāb kā ahd-e-vafā-e-yār meñ hai
qadam qadam pe jo laġhzish sī e'tibār meñ hai
shaguftagī-e-dil-e-kārvāñ ko kyā samjhe
vo ik nigāh jo uljhī huī bahār meñ hai
shikast-e-hausla-e-zabt-e-ġham mujhe manzūr
chale bhī aao ki dil kab se intizār meñ hai
ye iztirāb kā aalam ye shauq-e-be-pāyāñ
'shakīl' aaj bilā-shuba kū-e-yār meñ hai
Top Urdushayar.com