kaise kah duuñ kī mulāqāt nahīñ hotī hai
roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai
aap lillāh na dekhā kareñ ā.īna kabhī
dil kā aa jaanā baḌī baat nahīñ hotī hai
chhup ke rotā huuñ tirī yaad meñ duniyā bhar se
kab mirī aañkh se barsāt nahīñ hotī hai
hāl-e-dil pūchhne vaale tirī duniyā meñ kabhī
din to hotā hai magar raat nahīñ hotī hai
jab bhī milte haiñ to kahte haiñ ki kaise ho 'shakīl'
is se aage to koī baat nahīñ hotī hai