mujh ko saaqī ne jo ruḳhsat kiyā mai-ḳhāne se
ḳhud mai-e-nāb chhalakne lagī paimāne se
dekh kar hālat-e-dil un ko taras aa hī gayā
vo bhī ghabrā se ga.e mere taḌap jaane se
dete haiñ ta.anā-e-asnām-parastī mujh ko
sajda karte hue jo nikle haiñ mai-ḳhāne se
aap ke jaate hī ābād huī bazm-e-ḳhayāl
ban ga.ī aur bhī taqdīr bigaḌ jaane se
mohtasib ab tujhe tauba kā yaqīñ ho ki na ho
ham to Takrā chuke paimāne ko paimāne se
apnā ham-maslak o hamrāz kise kahiye 'shakīl'
nazar us bazm meñ sab aate haiñ begāne se