Shakeel Badayuni

aadab-e-ashiqi se begana kah rahi hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ādāb-e-āshiqī se begāna kah rahī hai
merī nazar mujhī ko dīvāna kah rahī hai
har āh-e-sirr-e-paiham dil se nikal nikal kar
dil kī tabāhiyoñ kā afsāna kah rahī hai
is darja hai musallat dīvāngī kā aalam
dīvāngī bhī mujh ko dīvāna kah rahī hai
ye inqilāb-e-daurāñ ye aish-o-ġham ke unvāñ
goyā zabān-e-fitrat afsāna kah rahī hai
merī zabāñ unhīñ se un ke sitam kā qissa
yuuñ dab ke kah rahī hai goyā na kah rahī hai
ai barq-e-fitna sāmāñ unvān taaza koī
ye kyā sunā sunāyā afsāna kah rahī hai
huuñ zinda ik muraqqa.a maiñ sūrat-āfrīñ kā
duniyā 'shakīl' merā afsāna kah rahī hai
Top Urdushayar.com