karne do agar qattāl-e-jahāñ talvār kī bāteñ karte haiñ
arzāñ nahīñ hotā un kā lahū jo pyaar kī bāteñ karte haiñ
ye aish-o-tarab ke matvāle be-kār kī bāteñ karte haiñ
paa.el ke ġhamoñ kā ilm nahīñ jhankār kī bāteñ karte haiñ
nā-haq hai havas ke bandoñ ko nazzāra-e-fitrat kā da.avā
āñkhoñ meñ nahīñ hai bīnā.ī dīdār kī bāteñ karte haiñ
ġham meñ bhī rahā ehsās-e-tarab dekho to hamārī nādānī
vīrāne meñ saarī umr kaTī gulzār kī bāteñ karte haiñ
be-naqd-e-amal jannat kī talab kyā shai haiñ janāb-e-vā.iz bhī
muTThī meñ nahīñ haiñ dām-o-diram bāzār kī bāteñ karte haiñ
kahte haiñ unhīñ ko dushman-e-dil hai naam usī kā nāseh bhī
vo log jo rah kar sāhil par mañjdhār kī bāteñ karte haiñ
pahuñche haiñ jo apnī manzil par un ko to nahīñ kuchh nāz-e-safar
chalne kā jinheñ maqdūr nahīñ raftār kī bāteñ karte haiñ
ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakīl' in sab ke jigar
fāqoñ se haiñ dil murjhā.e sū-e-dār kī bāteñ karte haiñ