bas ik nigāh-e-karam hai kaafī agar unheñ pesh-o-pas nahīñ hai
zahe tamannā ki merī fitrat asīr-e-hirs-o-havas nahīñ hai
nazar se sayyād duur ho jā yahāñ tirā mujh pe bas nahīñ hai
chaman ko barbād karne vaale ye āshiyāñ hai qafas nahīñ hai
kisī ke jalve taḌap rahe haiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se aage
hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se aage nigāh kī dastaras nahīñ hai
jahāñ kī nairañgiyoñ se yaksar badal ga.ī āshiyāñ kī sūrat
qafas samajhtī haiñ jin ko nazreñ vo dar-haqīqat qafas nahīñ hai
kahāñ ke naale kahāñ kī aaheñ jamī haiñ un kī taraf nigāheñ
kuchh is qadar mahv-e-yād huuñ maiñ ki fursat-e-yak-nafas nahīñ hai
qusūr hai ishrat-e-guzishta kā husn-e-tāsīr allāh allāh
vahī fazā.eñ vahī havā.eñ chaman se kuchh kam qafas nahīñ hai
kisī kī be-e'tinā.iyoñ ne badal hī Daalā nizām-e-gulshan
jo baat pahle bahār meñ thī vo baat ab ke baras nahīñ hai
ye bū-e-sumbul ye ḳhanda-e-gul aur aah ye dukh bharī sadā.eñ
qafas ke andar chaman hai shāyad chaman ke andar qafas nahīñ hai
na hosh-e-ḳhalvat na fikr-e-mahfil ayaañ ho ab kis pe hālat-e-dil
maiñ aap hī apnā ham-nafas huuñ mirā koī ham-nafas nahīñ hai
kareñ bhī kyā shikva-e-zamāna kaheñ bhī kyā dard kā fasāna
jahāñ meñ haiñ laakh dushman-e-jāñ koī masīhā-nafas nahīñ hai
sunī haiñ ahl-e-junūñ ne aksar ḳhamoshi-e-marg kī sadā.eñ
sunā ye thā kārvān-e-hastī rahīn-e-bāñg-e-jaras nahīñ hai
chaman kī āzādiyāñ mo.aḳhḳhar tasavvur-e-āshiyāñ muqaddam
ġham-e-asīrī hai nā-mukammal agar ġham-e-ḳhār-o-ḳhas nahīñ hai
na kar mujhe sharmsār nāseh maiñ dil se majbūr huuñ ki jis kā
hai yuuñ to kaun-o-makāñ pe qaabū magar mohabbat pe bas nahīñ hai
kahāñ vo ummīd-e-āmad-āmad kahāñ ye īfā-e-ahd-e-fardā
jab e'tibār-e-nazar na thā kuchh ab e'tibār-e-nafas nahīñ hai
vahī haiñ naġhme vahī haiñ naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale
tirī samā.at se duur haiñ ye jabhī to nāloñ meñ ras nahīñ hai
'shakīl' duniyā meñ jis ko dekhā kuchh us kī duniyā hī aur dekhī
hazār naqqād-e-zindagī haiñ magar koī nukta-ras nahīñ hai