fareb-e-mohabbat se ġhāfil nahīñ huuñ
jo mast-e-junūñ ho vo dil nahīñ huuñ
unheñ azm-e-tark-e-ta.alluq mubārak
maiñ un ke irādoñ meñ haa.il nahīñ huuñ
tirī bazm se hai bas itnā ta.alluq
ki shāmil bhī huuñ aur shāmil nahīñ huuñ
qaum aur aġhyār ke mashvaroñ se
maiñ aisī ināyat kā qaa.il nahīñ huuñ
sambhal kar zarā ai mohabbat kī kashtī
maiñ tūfāñ hī tūfāñ huuñ sāhil nahīñ huuñ
mirā soz-e-hastī hai dūr-az nadāmat
maiñ parvāna huuñ sham-e-mahfil nahīñ huuñ