Mela Ram Wafa

dayar-e-husn mein pabandi-e-rasm-e-wafa kam hai

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
dayār-e-husn meñ pābandī-e-rasm-e-vafā kam hai
bahut kam hai bahut kam hai ba-hadd-e-intihā kam hai
jafā-e-be-sabab kam hai ki jaur-e-nā-ravā kam hai
tirī be-dād ai zālim na hone par bhī kyā kam hai
kamāl-e-dilbarī meñ kaun sī terī adā kam hai
na shoḳhī kam hayā se hai na shoḳhī se hayā kam hai
ba-kasrat sair kī hai har ravish gulzār-e-ālam kī
yahāñ rang-e-mohabbat hai bahut bū-e-vafā kam hai
ḳhudā ke naam par dast-o-girebāñ haiñ ḳhudā vaale
bahut hai jis qadar zikr-e-ḳhudā ḳhauf-e-ḳhudā kam hai
azal se hotī aa.ī hai abad tak hotī jā.egī
gunahgār-e-vafā par jis qadar bhī ho jafā kam hai
duā ko haath kyuuñ uTThe mire tīmār-dāroñ ke
zabāñ se kyuuñ nahīñ kahte ki ummīd-e-shafā kam hai
rahe kyūñkar na bad-zan vo shah-e-husn ai 'vafā' mujh se
baḌā nādān hai suntā bahut hai dekhtā kam hai
Top Urdushayar.com