Shakeel Badayuni

shikwe tere huzur kiye ja raha hun main

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
shikve tire huzūr kiye jā rahā huuñ maiñ
jo kuchh bhī ho qusūr kiye jā rahā huuñ maiñ
vahm-e-ta.ayyunāt kā anjām dekhnā
nazdīkiyoñ ko duur kiye jā rahā huuñ maiñ
mahv-e-tavāf kūcha-e-hastī meñ rahmateñ
shāyad koī qusūr kiye jā rahā huuñ maiñ
rakkhī huī hai sañg-e-dar-e-yār par jabīñ
is ijz par ġhurūr kiye jā rahā huuñ maiñ
nazr-e-nigāh-e-nāz haiñ dil kī nazākateñ
shīshe ko chuur chuur kiye jā rahā huuñ maiñ
rabt-e-niyāz-o-nāz kā aalam to dekhnā
nādim haiñ vo qusūr kiye jā rahā huuñ maiñ
sochā kabhī na hazrat-e-vā.iz ne ye 'shakīl'
rindoñ meñ zikr-e-hūr kiye jā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com