Shakeel Badayuni

gham se kahan ai ishq mafar hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ġham se kahāñ ai ishq mafar hai
raat kaTī to sub.h kā Dar hai
tark-e-vafā ko muddat guzrī
aaj bhī lekin dil pe asar hai
aa.ine meñ jo dekh rahe haiñ
ye bhī hamārā husn-e-nazar hai
ġham ko ḳhushī kī sūrat baḳhshī
is kā bhī sehrā aap ke sar hai
laakh haiñ un ke jalve jalve
merī nazar phir merī nazar hai
tum hī samajh lo tum ho masīhā
maiñ kyā jānūñ dard kidhar hai
phir bhī 'shakīl' is daur meñ pyāre
sāhab-e-fan hai ahl-e-hunar hai
Top Urdushayar.com