ab to ḳhushī kā ġham hai na ġham kī ḳhushī mujhe
be-his banā chukī hai bahut zindagī mujhe
vo vaqt bhī ḳhudā na dikhā.e kabhī mujhe
un kī nadāmatoñ pe ho sharmindagī mujhe
rone pe apne un ko bhī afsurda dekh kar
yuuñ ban rahā huuñ jaise ab aa.ī hañsī mujhe
yuuñ dījiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar
maiñ zindagī ko yaad karūñ zindagī mujhe
rakhnā hai tishna-kām to saaqī bas ik nazar
sairāb kar na de mirī tishna-labī mujhe
paayā hai sab ne dil magar is dil ke bāvajūd
ik shai milī hai dil meñ khaTaktī huī mujhe
raazī hoñ yā ḳhafā hoñ vo jo kuchh bhī hoñ 'shakīl'
har haal meñ qubūl hai un kī ḳhushī mujhe