duur haiñ vo aur kitnī duur
phir bhī mirī nazroñ ke huzūr
ranj-o-musībat jaur-o-sitam
aap kī ḳhātir sab manzūr
dil par biite lab pe na aa.e
haa.e mohabbat kā dastūr
hasrat-e-dīd az diid buland
huur se behtar vāda-e-hūr
parda-e-rañg-o-bū to uThāo
hogā koī na koī zarūr
daur-e-taraqqī kyā hai 'shakīl'
duniyā kī aqloñ kā futūr