biit gayā hañgām-e-qayāmat roz-e-qayāmat aaj bhī hai
tark-e-ta.alluq kaam na aayā un se mohabbat aaj bhī hai
saḳht sahī hastī ke marāhil-e-ishq meñ rāhat aaj bhī hai
ai ġham-e-jānāñ ho na gurezāñ terī zarūrat aaj bhī hai
gulshan-e-husn-e-yār meñ karte haiñ jo talāsh-e-kaif-o-sukūñ
laakh hai barham nazm-e-do-ālam zulf meñ nik.hat aaj bhī hai
nūr-e-sahar hai jān-e-tasavvur zulmat-e-shab se kaun Dare
laakh banī hai ziist jahannam sāmne jannat aaj bhī hai
sub.h-e-bahār aa.ī thī le kar rut bhī na.ī shāḳheñ bhī na.ī
ġhuncha-o-gul se pyaar hai lekin shāḳh se nafrat aaj bhī hai
arz-e-tamannā kar ke gañvāyā ham ne bharam ḳhuddārī kā
ho ga.ī go takmīl-e-tamannā dil ko nadāmat aaj bhī hai
kar ke sitam kī parda-poshī ham ne unheñ be-aib kiyā
varna 'shakīl' apne hoñToñ par harf-e-shikāyat aaj bhī hai