tirī yādoñ se dil farozāñ kareñge
phir is ġham-kade meñ charāġhāñ kareñge
zarā hazrat-e-dil kī jur.at to dekho
ye nazzāra-e-husn-e-jāñ kareñge
zamāna jo ātish-fishāñ hai to kyā ġham
ham ātish-kade ko gulistāñ kareñge
chale to zarā dūr-e-jām-e-mohabbat
farishte bhī taqlīd-e-insāñ kareñge
salāmat-ravī jurm samjhegī duniyā
kisī se agar zikr-e-tūfāñ kareñge
jo āsāniyoñ ko bhī mushkil banā deñ
vo kyā merī mushkil ko āsāñ kareñge