Shakeel Badayuni

chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
chāñdnī meñ ruḳh-e-zebā nahīñ dekhā jaatā
maah o ḳhurshīd ko yakjā nahīñ dekhā jaatā
yuuñ to un āñkhoñ se kyā kyā nahīñ dekhā jaatā
haañ magar apnā hī jalva nahīñ dekhā jaatā
dīda-o-dil kī tabāhī mujhe manzūr magar
un kā utrā huā chehra nahīñ dekhā jaatā
zabt-e-ġham haañ vahī ashkoñ kā talātum ik baar
ab to sūkhā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā
zindagī aa tujhe qātil ke havāle kar duuñ
mujh se ab ḳhūn-e-tamannā nahīñ dekhā jaatā
ab to jhūTī bhī tasallī ba-sar-o-chashm qubūl
dil kā rah rah ke taḌapnā nahīñ dekhā jaatā
Top Urdushayar.com