gulshan ho nigāhoñ meñ to jannat na samajhnā
dam-bhar kī ināyat ko mohabbat na samajhnā
kyā shai hai matā-e-ġham-o-rāhat na samajhnā
jiinā hai to jiine kī haqīqat na samajhnā
ho ḳhair tire ġham kī ki ham ne tire ġham se
sīkhā hai masarrat ko masarrat na samajhnā
nisbat hī nahīñ koī mohabbat ko ḳhirad se
ai dil kabhī mafhūm-e-mohabbat na samajhnā
ye kis ne kahā tum se ki rūdād-e-vafā ko
sun kar bhī samajhne kī zarūrat na samajhnā
vīrānī-e-māhaul ko barbādī-e-dil ko
har daur meñ āsār-e-mohabbat na samajhnā
sar ḳham ho agar maslahat-e-vaqt ke aage
is jabr-e-musalsal ko ibādat na samajhnā
dekhe jo tumheñ koī mohabbat kī nazar se
lillāh 'shakīl' us ko mohabbat na samajhnā