ḳhāna-e-ummīd be-nūr-o-ziyā hone ko hai
chashm-e-tar se āḳhirī aañsū judā hone ko hai
ye bhī ai dil ik fareb-e-vāda-e-fardā na ho
roz suntā huuñ koī mahshar bapā hone ko hai
duur huuñ lekin batā saktā huuñ un kī bazm meñ
kyā huā kyā ho rahā hai aur kyā hone ko hai
khul rahī hai aañkh ik kāfir hasīñ kī sub.h-dam
mai-kasho muzhda dar-e-mai-ḳhāna vā hone ko hai
tark-e-ulfat ko zamāna ho gayā lekin 'shakīl'
aaj phir merā aur un kā sāmnā hone ko hai