tauf-e-haram na der kī gahrā.iyoñ meñ hai
jo lutf un ke dar kī jabīñ-sā.iyoñ meñ hai
hairat nigāh-e-shauq kī paspā.iyoñ meñ hai
jalva ba-zāt-e-ḳhud hī tamāshā.iyoñ meñ hai
zāhir ye kar rahī haiñ shab-e-ġham kī nuz.hateñ
koī chhupā huā mirī tanhā.iyoñ meñ hai
duniyā-e-rañg-o-bū se guzar kar pata chalā
poshīda koī ruuh kī gahrā.iyoñ meñ hai
paatā huuñ un ko har nafas-e-iztirāb meñ
mauj-e-sakūñ bhī duur kī añgḌā.iyoñ meñ hai
merā junūn-e-shauq hī kyuuñ ho qusūr-vār
shāmil tirī nigāh bhī rusvā.iyoñ meñ hai
ai sham-e-pur-ġhurūr zarā ġhaur se tū dekh
ye kis kī raushnī tirī parchhā.iyoñ meñ hai
is ke liye 'shakīl' ḳhizāñ kyā bahār kyā
Duubā huā jo husn kī ra.anā.iyoñ meñ hai