haqīqat-e-ġham-e-ulfat chhupā rahā huuñ maiñ
shikasta-dil huuñ magar muskurā rahā huuñ maiñ
kamāl-e-hausla-e-dil dikhā rahā huuñ maiñ
kisī se rasm-e-mohabbat baḌhā rahā huuñ maiñ
badal diyā hai mohabbat ne un kā tarz-e-amal
ab un meñ shān-e-takalluf sī pā rahā huuñ maiñ
machal machal ke maiñ kahtā huuñ baiThiye to sahī
sambhal sambhal ke vo kahte haiñ jā rahā huuñ maiñ
sunī huī sī bas ik dhun zarūr hai lekin
ye ḳhud ḳhabar nahīñ kyā gungunā rahā huuñ maiñ