Mela Ram Wafa

qalaq aa gaya iztirab aa gaya

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
qalaq aa gayā iztirāb aa gayā
ye dil kyā gayā ik azaab aa gayā
lifāfe meñ purze mire ḳhat ke haiñ
mire ḳhat kā āḳhir javāb aa gayā
idhar baḌhte baḌhte baḌhā dast-e-shauq
udhar aate aate hijāb aa gayā
kahā us ne dekhā jo dar par mujhe
kahāñ se ye ḳhāna-ḳharāb aa gayā
jabīñ pur-shikan hai nigah sho.ala-rez
ye kaun aaj zer-e-itāb aa gayā
sikandar nasībe kā hai vo faqīr
tire dar se jo kāmyāb aa gayā
ye aalam huā tābish-e-husn se
savā neze par āftāb aa gayā
hue hī the āmāda tauba pe ham
ki gardish meñ jām-e-sharāb aa gayā
huī qā.il-e-jalva-e-tūr ḳhalq
sar-e-bām vo be-naqāb aa gayā
ye kyā kam hai ai shaiḳh mai kā javāz
vo ka.abe se uTh kar sahāb aa gayā
uThā.e ga.e bazm se bul-havas
unheñ sheva-e-intiḳhāb aa gayā
adū saath rahne lage ai 'vafā'
gahan meñ mirā āftāb aa gayā
Top Urdushayar.com