Shakeel Badayuni

ye tamam ghuncha-o-gul main hansun to muskuraen

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ye tamām ġhuncha-o-gul maiñ hañsūñ to muskurā.eñ
kabhī yak-ba-yak jo ro duuñ to sitāre TuuT jaa.eñ
mire dāġh-e-dil kī tābish jo kabhī ye dekh paa.eñ
vahīñ rashk-e-be-amāñ se mah-o-mehr Duub jaa.eñ
kabhī zauq-e-justujū par agar e.atibār kar luuñ
sar-e-rāh manzileñ ḳhud mujhe DhūñDne ko aa.eñ
kabhī be-qarār ho kar jo maiñ sāz-e-ishq chheḌūñ
to ye mushtarī-o-zohra koī giit phir na gaa.eñ
mirā zauq mai-parastī hai kuchh is qadar mukammal
jo maiñ jām-e-mai uThā luuñ to baras paḌeñ ghaTā.eñ
sar-e-mai-kada jo dekheñ mirī mai-kashī kā manzar
hoñ shuyūḳh sar-ba-sajda kare zāhid iltijā.eñ
Top Urdushayar.com