Shakeel Badayuni

un ke baghair hum jo gulistan mein aa gae

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
un ke baġhair ham jo gulistāñ meñ aa ga.e
mahsūs ye huā ki bayābāñ meñ aa ga.e
tash.hīr-e-dil-giriftagī-e-husn ho ga.ī
aañsū chhalak ke chashm-e-pashemāñ meñ aa ga.e
ham tark-e-rabt-o-zabt-e-mohabbat ke bāvajūd
sau baar khiñch ke kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e
phūloñ ko raas aayā na jab arsa-e-bahār
gulshan se haT ke gosha-e-dāmāñ meñ aa ga.e
har-chand ahl-e-hosh the arbāb-e-zindagī
lekin fareb-e-gardish-e-daurāñ meñ aa ga.e
aayā mirī zabāñ pe yakāyak jo un kā naam
kis kis ke haath mere garebāñ meñ aa ga.e
chhup kar nigāh-e-shauq se dil meñ panāh lī
dil meñ na chhup sake to rag-e-jāñ meñ aa ga.e
the muntashar azal meñ jo zarrāt-e-kū-e-dost
insān ban ke ālam-e-imkāñ meñ aa ga.e
jinkī adā adā meñ haiñ ra.anā.iyāñ 'shakīl'
ash.ār ban ke vo mire dīvāñ meñ aa ga.e
Top Urdushayar.com