kyā kaheñ va.adoñ pe yaqīñ ham kyuuñ laate jaate haiñ
dhokā khānā paḌtā hai dhokā khāte jaate haiñ
tāqat-e-zabt-e-ġham dil se ruḳhsat hotī jaatī hai
armāñ naale ban ban kar lab par aate jaate haiñ
rāteñ aish-o-ishrat kī din dukh dard musībat ke
aatī aatī aatī haiñ jaate jaate jaate haiñ
āñdhiyoñ aur bagūloñ se kam nahīñ tere dīvāne
ḳhaak uḌāte aate haiñ ḳhaak uḌāte jaate haiñ
aaj sahar se ġhair bahut haal tire bīmār kā hai
afsurda afsurda hai log jo aate jaate haiñ
mai-ḳhāna bhī paḌtā hai shaiḳh ko rāh-e-masjid meñ
mai-ḳhāna bhī aap aksar aate jaate jaate haiñ
ġhair to haiñ phir ġhair 'vafā' ġhairoñ kā shikva hī kiyā
bad-halī meñ apne bhī aañkh churāte jaate haiñ