jī par bhī ham ne jabr kiyā iḳhtiyār tak
jiite rahe aḳhīr dam-e-intizār tak
kis ko nasīb hote haiñ phir jalsa-hā-e-mai
jiitā hai kaun dekhiye aglī bahār tak
uf-re sitam ki bahr-e-duā-e-visāl-e-ġhair
vo paañv chal ke aa.e haiñ mere mazār tak
tum bhī karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhī kareñge sabr magar iḳhtiyār tak
shākī nahīñ maiñ naḳhvat-e-gul hī kā ai 'vafā'
mujh se chaman meñ nok kī lete haiñ ḳhaar tak