Mela Ram Wafa

puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
pūchheñ vo kaash haal dil-e-be-qarār kā
ham bhī kaheñ ki shukr hai parvardigār kā
lāzim agar hai shukr hī parvardigār kā
phir kyā ilaaj gardish-e-lail-o-nahār kā
sayyād bhī pahuñch gayā gul-chī bhī baaġh meñ
ai ham-safīr aa gayā mausam bahār kā
tadbīr kyā ho sabr-o-shakeb-o-qarār kī
vo tund-ḳhū hai bas kā na dil iḳhtiyār kā
kyūñ-kar miTe nadāmat-e-iz.hār-e-ārzū
aalam nazar meñ hai nigah-e-sharmsār kā
qānūn kis ne badlā hai qudrat kā shaiḳh-jī
daarū hai ab bhī mai hī ġham-e-rozgār kā
un nāmiyoñ ke hashr se ibrat-pazīr ho
baaqī nahīñ nishān bhī jin ke ġhubār kā
rakkhegā be-qarār tumheñ bhī tamām umr
marnā taḌap taḌap ke kisī be-qarār kā
be-laus ho havas se agar ishq ai 'vafā'
hai zikr-e-yār meñ bhī maza vasl-e-yār kā
Top Urdushayar.com