kab farāġhat thī ġham-e-sub.h-o-masā se mujh ko
roz o shab kaam rahā āh-o-bukā se mujh ko
pās-e-ḳhātir se na dushman ke sitam kar mujh par
khelnā aatā hai ai dost qazā se mujh ko
haa.e aalam shab-e-furqat mirī māyūsī kā
detī hai maut kī ummīd dilāse mujh ko
thā tirī fitna-ḳhirāmī se ayaañ dil kā ma.aal
bū-e-ḳhūñ aatī hai naqsh-e-kaf-e-pā se mujh ko
ai 'vafā' mausam-e-vahshat bhī hai kyā mausam-e-gul
kyuuñ bachāte haiñ gulistāñ kī havā se mujh ko