Mela Ram Wafa

kuchh na kuchh hoga meri mushkil ka hal furqat ki raat

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
kuchh na kuchh hogā mirī mushkil kā hal furqat kī raat
tum na aaoge to aa.egī ajal furqat kī raat
aa gayā kyā nazm-e-hastī meñ ḳhalal furqat kī raat
ruk gayā kyuuñ daur-e-gardūñ kā amal furqat kī raat
ho rahī haiñ shaam se sākin ghaḌī kī sūiyāñ
paañv phailātā hai kyā ek ek pal furqat kī raat
sard sard aahoñ se yuuñ aañsū mire jamte ga.e
ho gayā ta.amīr ik motī-mahal furqat kī raat
kuchh nahīñ khultā ki āḳhir is qadar lambī hai kyuuñ
vasl ke din kā hai jab radd-e-amal furqat kī raat
zindagī bhar ye balā pīchhā na chhoḌegī mirā
aaj jā.egī to phir aa.egī kal furqat kī raat
sub.h kā muñh dekhnā mere muqaddar meñ na thā
merā andesha na thā kuchh be-mahal furqat kī raat
dard meñ Duube hue haiñ shahr saare ai 'vafā'
kis qayāmat kī kahī tū ne ġhazal furqat kī raat
Top Urdushayar.com