kahnā hī mirā kyā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ye bhī tumheñ dhokā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ye baat ki kahnā hai mujhe tum se bahut kuchh
is baat se paidā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
apnī hī kahe jaatā hai ai nāseh-e-nā-faham
tū kuchh nahīñ suntā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
rahtā hai vo but shikva-e-aġhyār pe ḳhāmosh
kahtā hai to kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahlāo na kuchh ġhair kī tārīf meñ mujh se
samjho to ye thoḌā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahne kā to apne hai 'vafā' aap bhī qaa.el
kahne ko ye kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā