dil ne phir chāhā ujāle kā samundar honā
phir amāvas ko milā merā muqaddar honā
dosto maiñ to na mānūñgā vo hai ḳhushk-mizāj
us ne āñkhoñ ko sikhāyā hai mirī tar honā
aaj sunte haiñ vo mā.il-ba-karam aa.egā
ai mirī ruuh mire jism ke andar honā
mere hoñToñ pe jamī pyaas gavāhī degī
maiñ ne qatre ko sikhāyā thā samundar honā
mujh se is baar miloge to samajh jāoge
kaisā hotā hai kisī shaḳhs kā patthar honā