zulm ko tere ye tāqat nahīñ milne vaalī
dekh tujh ko mirī bai.at nahīñ milne vaalī
log kirdār kī jānib bhī nazar rakhte haiñ
sirf dastār se izzat nahīñ milne vaalī
shahar talvār se tum jiit ga.e ho lekin
yuuñ diloñ kī to hukūmat nahīñ milne vaalī
rāste meñ use dekhā hai ka.ī roz ke ba.ad
aaj to rone ko fursat nahīñ milne vaalī
shafqateñ bāñTne ke taur bhī sīkheñ varna
umr baḌhne se fazīlat nahīñ milne vaalī
'mīr' kī raah kā maiñ aap kulāhoñ vaale
aap se merī tabī.at nahīñ milne vaalī
dil dukhā maañ kā to phir chain nahīñ pāoge
ghar ko chhoḌā to kahīñ chhat nahīñ milne vaalī