sabr mushkil thā mohabbat kā asar hone tak
jaan Thahrī na dil-e-dost meñ ghar hone tak
shab-e-furqat kī bhī hone ko sahar to hogī
haañ magar ham nahīñ hone ke sahar hone tak
sahne haiñ jaur-o-sitam jhelne haiñ rañj-o-alam
ya.anī karnī hai basar umr basar hone tak
terā parda bhī uThā degī mirī rusvā.ī
terā parda hai mire ḳhāk-ba-sar hone tak
mutazalzal to hai muddat se nizām-e-ālam
naubat aa pahuñchī hai ab zer-o-zabar hone tak
fursat-e-mātam-e-parvāna kahāñ se aa.e
sham.a ko maut se laḌnā hai sahar hone tak
ai 'vafā' mārka-e-ishq to sar kyā hogā
ho chukeñge hamīñ ye ma.arka sar hone tak