vo kahte haiñ yaqīñ laanā paḌegā
ye dhoka jaan kar khānā paḌegā
zamāne ko badalnā ham ne Thānā
zamāne ko badal jaanā paḌegā
salāmat hai hamārā jazb-e-ulfat
tum aaoge tumheñ aanā paḌegā
yahī marzī hai us ārām-e-jāñ kī
hameñ ab jaan se jaanā paḌegā
dil-e-nādāñ samajh jā.egā lekin
dil-e-nādāñ ko samjhānā paḌegā
adū ke naaz uThte kaun dekhe
tirī mahfil meñ uTh jaanā paḌegā
nahīñ ai sañg-e-dil haañ vo nahīñ tū
kiye par jis ko pachhtānā paḌegā
baḌā bad-rāh hai charḳh-e-sitamgar
use ab raah par laanā paḌegā
paḌā hai ai 'vafā' paalā butoñ se
ḳhudā ko darmiyāñ laanā paḌegā